TRENDING

Sponsor

Sunday, June 13, 2010

KUCHH KAMI HAI ZINDAGI MEIN..

kuchh kami hai zindagi mein
jo tu nahi hai zindagi mein.

sao dafa milna bichhadna
chaar din ki zindagi mein.

ye ishq na hota agar to
kya bura tha zindagi mein.

tujh se bichhde tab ye jana
kya mila tha zindagi mein.

tu de ijazat, gar khudara
kar du' ada haq zindagi mein.

ham se puchho ham ne jana
kya sabaq tha zindagi mein.

ab dua du' tujh ko main bas
khush rahe tu zindagi mein.

“Saif” tum bhi khoob guzre,
kar ke sab kuchh zindagi mein.
Shahin said...

Kuchh to kami nahi is ghazal me
sab hi kuchh to hai is ghazal me,

Milna bichhadna,shikwa aur dua
sab hi jazbe moujood ghazal me

Dr. Saif Zahid said...

:)
shukriya

 
Back To Top