TRENDING

Sponsor

Meer Taqi Meer

Ye dhuan sa kahan se uthta hai



dekh to dil k jan se uthta hai,
ye dhuan sa kahan se uthta hai,
gor kis dil-jale ki hai ye falak,
shola ik subah yan se uthta hai,
khana-e-dil se zinhar na ja,
koi aise makan se uthta hai,
nala sar khenchata hai jab mera,
shor ek asman se uthta hai,
larti hai us ki chashm-e-shokh jahan,
ek ashob wan se uthta hai,
sudh le ghar ki bhi shola-e-awaz,
dud kuch ashiyan se uthta hai,
baithne kaun de hai phir us ko,
jo tere astan se uthta hai,
yun uthe ah us gali se ham,
jaise koi jahan se uthta hai,
ishq ik 'Meer' bhari paththar hai,
bojh kab natawan se uthta hai.






Nazuki us k lab ki kya kahiye

hasti apni hubab ki si hai
ye numaish sarab ki si hai
nazuki us k lab ki kya kahiye
pankhari ik gulab ki si hai
bar bar us k dar pe jata hun
halat ab iztirab ki si hai
main jo bola kaha k ye awaz
usi khana-kharab ki si hai
'Mir' un nim-baz ankhon main
sari masti sharab ki si hai

Ibtida-e-ishq hai rota hai kya

ibtida-e-ishq hai rota hai kya
aage aage dekhiye hota hai kya
qafile main subah k ik shor hai
yani gafil ham chale sota hai kya
sabz hoti hi nahin ye sarzamin
tukhm-e-khwahish dil main tu bota hai kya
ye nishan-e-ishq hain jate nahin
dag chati k abas dhota hai kya
gairat-e-yusuf hai ye waqt-e-aziz
'Mir' is ko rayegan khota hai kya



Gham raha jab tak k dam main dam raha
 
 
gham raha jab tak k dam main dam raha
dil k jane ka nihayat gham raha
husn tha tera bahot alam fareb
khat k ane par bhi ik alam raha
mere rone ki haqiqat jis main thi
ek muddat tak wo kagaz nam raha
jama-e-eharam-e-zahid par na ja
tha haram main lekin na-mahram raha
 
Back To Top