TRENDING

Sponsor

Mirza Ghalib

 aah ko chahiye ik umr asar hone tak

aah ko chahiye ik umr asar hone tak,
kaun jita hai teri zulf k sar hone tak,


dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahang,
dekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak,


ashiqi sabr-talab aur tamanna betab,
dil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak,

ham ne mana k taaful na karoge lekin,
khak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak ,






Dil hi to hai na sang-o-khisht 




dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aye kyun
roenge ham hazar bar koi hamein sataye kyun

dair nahi haram nahi dar nahi astan nahi
baithe hain rahguzar pe ham gair hamein uthaye kyun

jab wo jamal-e-dilfaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz
ap hi ho nazrasoz, parde mein munh chupaye kyun

dashna-e-gamza jansitan, nawak-e-naz bepanah
tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aye kyun

qaid-e-hayat-o-band-e-gam asl mein donon ek hain
maut se pahle admi gam se najat paye kyun

husn aur us pe husn-e-zan rah gai bulahawas ki sharm
apne pe etimad hai gair ko azamaye kyun

wan wo guroor-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas waza
rah mein ham milen kahan, bazm mein wo bulayen kyun

han wo nahi khudaparast, jao wo bewafa sahi
jisko ho din-o-dil aziz, us ki gali mein jaye kyun

"ghalib"-e-khasta k bagair kaun se kam band hain
roie zar-zar kya, kijie haye-haye kyun 





Bazicha-e-atfal hai duniya mere age




bazicha-e-atfal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamasha mere aage

ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdik
ik bat hai ejaz-e-masiha mere aage

juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzur
juz waham nahi hasti-e-ashiya mere aage

hota hai nihan gard mein sehra mere hote
ghista hai jabin khak pe dariya mere aage

mat puch k kya hal hai mera tere piche
tu dekh k kya rang hai tera mere aage

sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hun
baitha hai but-e-aina sima mere aage

phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftar
rakh de koi paimana-e-sahba mere aage

nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzra
kyon kar kahun lo nam na us ka mere aage

iman mujhe rok hai jo khinche hai mujhe kufr
kaba mere piche hai kalisa mere aage

ashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kam
majnun ko bura kahti hai laila mere aage

khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jate
ai shab-e-hijaran ki tamanna mere aage

hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi ho
ata hai abhi dekhiye kya-kya mere aage

go hath ko jumbish nahi ankhon mein to dam hai
rahne do abhi sagar-o-mina mere aage

hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera
'ghalib' ko bura kyon kaho acha mere age
 
Back To Top