TRENDING

Sponsor

Sunday, June 20, 2010

Mera akhri khat

Bhoole nahi jaate hai mujhse din wo purane,
jannat se the roshan wo khwabon se suhane,

             hain jazb wo pal aj bhi kisi hisse me mere dil ke,
             wo mausam char humne jo guzare the mil ke,

ab wo din phir kabhi laut ke na aenge,
waqt guzrega, kabhi hum bhi guzar jaenge,

             ek guzarish hai hume bhool bhale hi jana,
             par un lamhon ko sada dil se laga kar rakhna,

thi wo nemat jinko taa umr jaane tarsi hain,
bohot kam waqt ,par hai shukr humpe barsi hain,

             mujhko har qissa har mulaqat yaad hai ab bhi,
             har din milna, raato ko karna baat yaad hai ab bhi,

ab bhi teri khushbu meri saanso se aati hai mujko,
ab bhi tere honton ki narmi chhu ke jati hai mujhko,

             aj bhi wo rumal ka qissa yaad kar ke hansta hu main,
         jahan hum milte the , kuchh der wahan ja ke basta hu main,

pata hai tumko,ab bhi humare naam ke nishan us ped pe hai,
farq itna hai ke ab unke saath aur bhi kayi naam dher se hain,

             bahte paani pe ja ke aks dekha karta hun,
             ab bhi us darya se main ja ke mila karta hun,

jiske kinare pe hum kayi wade kiya karte the,
yaad rakkhenge ye din ye irade kiya karte the,

             ab na wo peepe ka pul hai na hawa ke jhonke,
             na hi wo pagdandi, nikalte the jinpe hum ho ke,

dil karta hai phir apne haatho se khilau tum ko,
phir tumhe chhedu, rulaun, manaun tum ko,

             achha hi hua k tum bhool gae ho sab kuchh,
             tadapte tum bhi jo yaad aa jata bus kuchh,

ye mera akhri khat hai, ke jaa raha hu main,
tere duniya se door duniya basa raha hu main,

             bohot mushkil hai ab tere is shahar me jeena,
             jahan teri yaad na ho aisi koi jagah bachi na,

itne aansu ab mai aur nahi baha sakta,
lambi raato ko mujhse aur nahi jaga ja sakta,

            hai dua meri, tujhe khushiya aur qarar mile,
            jis qadar chaha hai maine tumko, tumhe utna pyar mile.
 
Back To Top