TRENDING

Sponsor

Wednesday, October 2, 2013

PAYAM


Shaed bechain o pareshan ho tum...

शायद बेचैन ओ परेशां हो तुम,
jo baad muddat salam bheja hai.

या तो ग़लती से सलाम भेजा है, is karam ki wajeh bhi bata do .,
इस करम की वजह भी बता दो ,
jo itna chhota payam bheja hai.

क्यूँ इतना छोटा पयाम भेजा है.

Kiska Khuda

namaz humne mandir me padhi to kya hoga,
kiska khuda hoga Jo  ladne ko khada hoga!
sab ye kehte hain ki Usne banaya hai mujhe,
phir wo Jo gair hai use kisne banaya hoga.

Duao' ka asar

ye jo main hun, ye jo tu hai, ye duao' ka asar hai,
teri duniya mein sukun hai, ye duao ka asar hai.

Muntazir

Khada tha muntazir barso se ek nazre inaet ko,

Jo ab main door jata hun to mujhe awaz dete ho..

Zalim zamana

Badi dilsakht hai dunya, bada zalim zamana hai,
jahan dekho wahan matlab parasti ka thikana hai.

arey ye kya kiya tumne, mujhe chaunka diya tumne,
tum Ja k laut ae ho? ya Phir se dil dukhana hai?

Na samjha tha, na samjha hun, na samjhunga tumhe shaed,
na tum samjhaoge mujhko, na mujhe samajh me ana hai.

Posted via Blogaway


Posted via Blogaway
 
Back To Top