TRENDING

Sponsor

Friday, October 8, 2010

Muskurana aap ka | SaifZahid's Ghazals

Wednesday, October 6, 2010

koi baat na hui !!!

Arsa hua ke unse mulaqat na hui,
aisi hui kya baat ke koi baat na hui.


naraz wo hote the meri baat pe aksar,
ab naraz hain ispe ke koi baat na hui.

khairiyat mile khud unse to dil ko mile sukun,
itna pata hume bhi hai ke koi baat na hui.

Tuesday, September 28, 2010

khoobsurat the din

KHOOBSURAT THE DIN DHAL GAE KAISE,
HUM TO BADLE, TUM BHI BADAL GAE KAISE,


DIL KI DHADKAN ABHI BHI BAQI HAI ,
DIL YUN LAGTA HAI JAL GAE JAISE.

Friday, September 24, 2010

Sochna wo sab mera zaya gaya

sochna wo sab mera zaya gaya,
jo pada mujhpe wo nibhaya gaya,

mod tha wo shajr-o-gul-o-sabz bar,
mujhse bhi aage aur na jaya gaya,


rokte hi rah gae hum hath ko,
maal tha faani ke bus aya gaya,


zindagi me aur bhi the marhale,
rang ulfat ka na chadhaya gaya.

Thursday, September 16, 2010

jab zami pe na rahe

shaed hum bhi ho kabhi   un shaero ki tarah,
jo pahoche to bulandi pe, jab zami pe na rahe.

wo jo taqat war the karte the duniya par fateh,
zindagi ki jang me wo ab kahi pe na rahe.

Monday, September 6, 2010

zami dekh raha hun

udte hue mai abr o zamin dekh raha hun,
bikhre hue baadal ki nami dekh raha hun,


Unchayi se kya khoob nazar aati hai duniya,
insaan ke  qamad ki kami dekh raha hun!

Tuesday, August 3, 2010

Mera Bachpan

Ankhon me mera bachpan 
aise hai, jaise bus kal guzra,


kandhe pe basta,hatho me dandi,
school ka wo rasta kabka chal guzra,


bahno se ladna mummy se pitna,
rone se pahle mai bahal guzra.


lambe wo chhae(6) din,sunday ki dastak,
wo jo ana tha, wo bhi "kal" guzra.

madarsa e nisa ka wo raste me padna,
pariyon ka jaise koi mahal guzra.


ladakpan ki shokhi ka chanchal sa lamha,
haathon se mere kab phisal guzra.


mohabbat ke qisse,udasi bhare din,
mushkil tha jeena par sahal guzra!

Saturday, July 3, 2010

koi mera hai..

kuch naam jude hai mujhse bhi,
koi is duniya me mera hai,
jise maine nahi dekha hai kabhi,
par mere bina wo adhura hai.


pal pal tanhaee ka aalam,
pal pal yadon ka dera hai,
pal pal mai roshan hota hu,
pal pal palko pe andhera hai.


kyun kar Tu khafa yun hai mujhse?
kyun har gul mujhse le ra hai?  
Tune hi banaya hoga magar,
mera ye chaman bus mera hai.


Aey Saif zara ahista chal,
pichhe koi tera rah ra hai,
tu lakh kahe tanha khud ko,
ek saya hai jo tera hai.

sone na diya..

Jhapkiya le leta hu, tere khwab ki ummid me aksar,
warna teri yaad ne ek pal bhi hume sone na diya.

Mere Mahboob...

Mere mahboob meri hasti ko yun nafrat se to na dekh,
hamne mohabbat bhare khwabo ko sajaya tha kabhi,


hum juda honge, alag khwabo ki duniya hogi,
ye tasawur bhi mere zahn me na aya tha kabhi,




Ho sake khwab na poore magar khush to hai tu,
apni khushiyo ka to mai zikr bhi na laya tha kabhi.


Teri Tamannae ho puri badi Tahzeeb ke saath,
Ab na ho shaed magar unme mera saya tha kabhi.

Is birha men..

is birha men ye lagta hai ab ke ye na jaegi,
ab ke wo aise ruthe hain mafi na mil paegi.


Ab ke sawan bin barse hi upar se ud jaenge,
Koyal na kuhu bolegi, na bulbul geet sunaegi.


Sawan ki girti bundon ko ab ke door se dekhenge,
Pagdandi ki saundhi khushbu unki yaad dilaegi.


Pat-jhar ke sukhe patte ye, ur ur ke kah jaenge,
Unke chalne ki ahat ab tumko na mil paegi.


Sookhi ankhen Saif ye teri mujhse kahti rahti hain,
patthar hai jab dil hi tera, pani ye kahan se laengi.

Friday, July 2, 2010

Dil ki pursish ko..

Dard badh ke rakkhe jo haath sar pe to,
ashq aa jate hain ghame dil ki pursish ko.

Aakhirat ka saaman kar lun.

Vazu karun, ya pyase ki tar zuban kar du?
kya karun ke aakhirat ka saman kar lun?

Bahot gunah kiye hai Us se nafarman ho kar,
tujhe bhi thukrau ek aur gunahe jaan kar lun.

Kidhar jaaun ke ab koi rasta nahi dikhta,
ghalat chaha tha ke har simt ek jahan kar lu.

Wednesday, June 23, 2010

Ilzam kisko dun

 kis se karun gila, krun bhi to kyun karun,
kis ne kaha tha mujhse mai tujh se wafa karun,

wo kahte hain mujhse ke mit jao ishq men,
maanu jo baat unki to sabko khafa karun,

ghalti hui kahan pe, kis se hui khata,
ilzam kis ko dun, pachhta ke kya karun.

Monday, June 21, 2010

Tere naam ka tha

Jo bhi tha wo tere naam ka tha,
tu na tha to mai bhi naam ka tha,

Ho chuka tha gum tanha andhero me,
haan wo waqt mere anjaam ka tha,

na kar saka faqat ek ummid bhi paida,
" Saif " akhir tu kis kaam ka tha,

Sunday, June 20, 2010

Mera akhri khat

Bhoole nahi jaate hai mujhse din wo purane,
jannat se the roshan wo khwabon se suhane,

             hain jazb wo pal aj bhi kisi hisse me mere dil ke,
             wo mausam char humne jo guzare the mil ke,

ab wo din phir kabhi laut ke na aenge,
waqt guzrega, kabhi hum bhi guzar jaenge,

             ek guzarish hai hume bhool bhale hi jana,
             par un lamhon ko sada dil se laga kar rakhna,

thi wo nemat jinko taa umr jaane tarsi hain,
bohot kam waqt ,par hai shukr humpe barsi hain,

             mujhko har qissa har mulaqat yaad hai ab bhi,
             har din milna, raato ko karna baat yaad hai ab bhi,

ab bhi teri khushbu meri saanso se aati hai mujko,
ab bhi tere honton ki narmi chhu ke jati hai mujhko,

             aj bhi wo rumal ka qissa yaad kar ke hansta hu main,
         jahan hum milte the , kuchh der wahan ja ke basta hu main,

pata hai tumko,ab bhi humare naam ke nishan us ped pe hai,
farq itna hai ke ab unke saath aur bhi kayi naam dher se hain,

             bahte paani pe ja ke aks dekha karta hun,
             ab bhi us darya se main ja ke mila karta hun,

jiske kinare pe hum kayi wade kiya karte the,
yaad rakkhenge ye din ye irade kiya karte the,

             ab na wo peepe ka pul hai na hawa ke jhonke,
             na hi wo pagdandi, nikalte the jinpe hum ho ke,

dil karta hai phir apne haatho se khilau tum ko,
phir tumhe chhedu, rulaun, manaun tum ko,

             achha hi hua k tum bhool gae ho sab kuchh,
             tadapte tum bhi jo yaad aa jata bus kuchh,

ye mera akhri khat hai, ke jaa raha hu main,
tere duniya se door duniya basa raha hu main,

             bohot mushkil hai ab tere is shahar me jeena,
             jahan teri yaad na ho aisi koi jagah bachi na,

itne aansu ab mai aur nahi baha sakta,
lambi raato ko mujhse aur nahi jaga ja sakta,

            hai dua meri, tujhe khushiya aur qarar mile,
            jis qadar chaha hai maine tumko, tumhe utna pyar mile.

Aadmi ab to aadmi bhi nahi

Ab koi ummid e roshni bhi nahi,
tu bhi nahi, zindagi bhi nahi,


Un pe sab kuchh luta ke baitha hun,
wo hain gar, to kuchh kami bhi nahi,


Aadmi aadmi se darta hai,
aadmi ab to aadmi bhi nahi,


'Saif' ek jua aur khel kar to dekh ,
nakaam bhi raha to khoega kuchh nahi.

Muskurana aap ka

Uf ye qatil muskurana aap ka,
Dil laga kar dil churana aap ka,

Muh bana ke roothna wo aap ka,
Muskura ke maan jana aap ka,


likhte likhte sochte hain kya likhen,
humse dil ka sach chhupana aap ka,


sochna ke kah den apne dil ki baat,
khat wo likh likh ke mitana aap ka,


kamsini me kam hai thokron ka dar,
josh mein sab maan jana aap ka,


Saif kis tarah hum  unse bachen,
Dil hai mera aur nishana aap ka.

Tuesday, June 15, 2010

MERE SAATH CHALNA TU CHHOD DE

Mere hamsafar meri baat sun,
Mere saath chalna tu chhod de.
Meri raah hai ye bahot kathin,
Mere saath chalna tu chhod de.

Meri zindagi mein hai rang kam ,
Mere saath hain dardo-alam,
Yahan paega tu ranjo-gham,
Mere saath chalna tu chhod de.

Tu agar hai subha to hun main shab,
Jo milenge ham to milenge kab,
Yahi ilteja hai meri bas ab,
Mere saath chalna tu chhod de.

Chahe dil mein tu mera naam le ,
Par zuban se kuchh na tu kaam le,
Main jo kah raha hun vo maan le,
Mere saath chalna tu chhod de.

Bhale lakh mujh se tu ho khafa,
Kahe barha mujhe bevafa,
Hai tera bhala jo karun jafa,
Mere saath chalna tu chhod de.

Mujhe hosla de ki sah sakun,
Tere bin main zinda bhi rah sakun,
De ye haq mujhe ki main kah sakun,
Mere saath chalna tu chhod de.

Tu karega mujh se jo itna pyar ,
To rahega khud pen a ikhteyar,
Yahi saif kahta hai baar baar
Mere saath chalna tu chhod de.

MAHAZ INSAAN HAIN

Nazre’ mili’, batei’ badhi’ , ab aur bhi arman hai’,
khwahishe’ badhti hi jati hai’, mahaz insan hai’.

Ab ye mushkil hai badi, is ki kya pahchan hai?
nasamajh hain, ya ki phir vo jaan ke anjaan hai’?

dekhne mein bhole bhale, par vo beimaan hai’,
dil chura ke chal diye hai’, naam ke jo 'khan' hai’.

dekhiye ab meri jaanib un ka kya farmaan hai,
jaan bakshenge meri ya, qatl ka ailaan hai.

"saif" unki shokh nazro’ ko zara phir yaad kar,
puri karni hai ghazal , jis ka vo unvan hai’.

Sunday, June 13, 2010

DARD SAMBHALA NAHI GAYA

Kuchh yun hua ki mujh se khafa ho gaya habib
Kuchh yun hua ki mujh se manaya nahi gaya.

Kuchh yun hua ki ankh se aansu nikal pade ,
Kuchh yun hua ki dard sambhala nahi gaya.

Kuchh yun hua ki mar mite jeene ki aas mein,
Kuchh yun hua ki maut ko mara nahi gaya.

Kuchh yun hua ki zakhm bhi rista raha magar,
Kuchh yun hua ki tera nam mitaya nahi gaya.

Kuchh yun hua ki tujh ko bhulane ka gham hua,
Kuchh yun hua ki is gham ko bhulaya nahi gaya.

Kuchh yun hua ki bhulna chaha bahot unhein,
Kuchh yun hua ki saif unko bhulaya nahi gaya.

KUCHH KAMI HAI ZINDAGI MEIN..

kuchh kami hai zindagi mein
jo tu nahi hai zindagi mein.

sao dafa milna bichhadna
chaar din ki zindagi mein.

ye ishq na hota agar to
kya bura tha zindagi mein.

tujh se bichhde tab ye jana
kya mila tha zindagi mein.

tu de ijazat, gar khudara
kar du' ada haq zindagi mein.

ham se puchho ham ne jana
kya sabaq tha zindagi mein.

ab dua du' tujh ko main bas
khush rahe tu zindagi mein.

“Saif” tum bhi khoob guzre,
kar ke sab kuchh zindagi mein.
 
Back To Top