TRENDING

Sponsor

Sunday, January 30, 2011

tujh ko mujh se mila gaya

mujhe zindagi ka ye falsafa, waqt is tarah se bata gaya,
ke hua wohi, wo jo hona tha,mai kuchh bhi karta chala gaya.


teri baat ho, teri yaad ho, tere charche karta chala gaya,
tera zikr ke tere baad bhi goya tujh ko mujh se mila gaya.


wo raah thi ke na khatm ho,ek mai tha chalta chala gaya,
tujhe dhundne ki chah mein, khud se bichhadta chala gaya.


use log kahte the behaya, use log kahte hain bewafa,
wo jo mit gaya tere pyar me wo jo khud ko tujhpe luta gaya.


bade jashn the badi mehfilein, the tarah tarah ke muzahire,
mai unme khoob tha mubtila,mai bhi khud ko khota chala gaya,


kahan wo ghalat tha mai sahi, kahan mai galat tha wo sahi,
is baat se ab kya faeda, wo jo tera tha wo chala gaya.


na ab Saif usko  tu yaad  kar, na  uske gham ke diye jala,
wo khwab tha koi khushnuma, jo tarikiyon me chala gaya.


मुझे ज़िन्दगी का ये फ़लसफ़ा ,वक़्त इस तरह से सीखा गया,
के हुआ वही वो जो होना था, मैं कुछ भी करता चला गया. 

तेरी बात हो, तेरी याद हो, तेरे चर्चे करता चला गया,
तेरा ज़िक्र के तेरे बाद भी,गोया तुझ को मुझ से मिला गया. 

वो राह थी के न ख़त्म हो, एक मैं था ,चलता चला गया,
तुझे ढूंढने की चाह में, मैं ख़ुद से बिछड़ता चला गया.

उसे लोग कहते थे बेहया,उसे लोग कहते हैं बेवफा,
वो जो मिट गया तेरे प्यार में,वो जो खुद को तुझ पे लुटा गया. 

बड़े जशन थे,बड़ी महफ़िलें,थे तरह तरह के मुज़ाहिरे,
मैं उनमें खूब था मुब्तिला, मैं भी खुद को खोता चला गया.

कहाँ मैं ग़लत था वो सही, कहाँ वो ग़लत था मैं सही,
 इस बात से अब क्या फायदा,वो जो तेरा था वो चला गया. 

अब "सैफ़" उसको न  याद कर, न उसके ग़म के दिए जला,
वो ख़्वाब था कोई ख़ुशनुमा ,जो तारीकियों में चला गया. 
daanish said...

mujhe zindagi ka ye falsafa,
waqt is tarah se bata gaya,
ke hua wohi wo jo hona tha,
mai kuchh bhi karta chala gaya

gazal ka ye shaandaar matlaa
gazal ke mizaaj se vaaqif karvaa
paane mei kaamyaab raha hai
ek achhee gzl ke liye
m u b a r a k b a a d.

"daanish" bhaarti
Ludhiana (Pb)

Unknown said...

nice......:)

Unknown said...

nice.......:)

Shahin said...

wo khwab tha ek khush numa jo tarikiyo me chala gaya...Bahut khub...

Shahin said...

wo khwab tha ek khush numa jo tarikiyo me chala gaya...itni khoob surat gazal ke liye dili mubarakbad ...

Shahin said...

bahut khoob...
wo nahi tariqiyon me chala gaya
Wo to hai rooh me bas gaya...

daanish said...

teri baat ho, teri yaad ho, tere charche karta chala gaya,
tera zikr ke tere baad bhi goya tujh ko mujh se mila gaya.

waah !
phir se haazir hooN aapko padhne ke liye !!

 
Back To Top