TRENDING

Sponsor

Monday, June 21, 2010

Tere naam ka tha

Jo bhi tha wo tere naam ka tha,
tu na tha to mai bhi naam ka tha,

Ho chuka tha gum tanha andhero me,
haan wo waqt mere anjaam ka tha,

na kar saka faqat ek ummid bhi paida,
" Saif " akhir tu kis kaam ka tha,
Shahin said...

Jo bhi hai wo aap ke nam se hai,
Aap ne ki hai ek kaynat paida,

Anjam bhi na mita sakega ap ko,
Saif, akhir aap hi ka naam to hai

Ba khoob...

Dr. Saif Zahid said...

Shukriya... aap ki zarra nawazi hai...

 
Back To Top